
ashray uncha hoga aur uddesh nich hoga to bhi wo le dubega…
jaise ravan ka tha…
hanuman ji ka uddesh ram ji ki sewa hai ,
ashray bhi uncha hai…
jab hanumanaji lanka me gaye to rakshas un ko ravan ke pas le gaye…
is me bhi hanuman ji ka uddesh ye hai ki ravan ko samajhane ki koshish hai
ye uddesh hai..ki ,
“mai to ek doot hu…mai aisa hun to mere swami ji kaise honge?”
ye ravan samajhe to achha hoga…
uddesh swami ki sewa aur ashray bhi uncha
(ki galat rah par chalanewale rawan ko samajha sake)….
hanumaanji apani punchh lambi kar ke ravan se bhi unche sthan par baithe
to hanuman ji ki punchh ko rawan ke aadesh se kapade bandh diye
….hanumanji ke hruday me rawan ke prati dwesh nahi tha…
mai bada hun aisa nahi tha…
ram ji ne jab apane doot ko bheja to
heet rawan ka ho ye bhav se bheja hai……
(us ko galati sudhar ne muaka mile)
to aise karam me, bat-chit me,
lene dene me hum ashray unchaa rakhe…uddeshy unchaa rakhe…
ek hotaa hai maha-sankalp aur us ko pura karane ke hote hai
samany sankalp /avaantar sankalp…..
dyan dena : hum janam maran se chhut jaye,
prakruti ke bandhano se mukt ho jaaye to sukh swarup aatma
paramatma ka gyan paana ye mahasankalp hai..
aur ye maha sankalp pura karane ke liye samaany sankalp bhi hai …
.jaise bhuk lagi hai to khana khao, kapade dhona pade….
kamaaye khaaye ye sankalp hai samaany yaa avantar sankalp..
is me(samany sankalp me) bhi 2 prakar hai:
1) aavashyakata purti ke liye sankalp
2) aur dusare anavashyak sankalp
to garmi hai pankha chalaaun .
.ye ho gaya aavashyakata purti ko madad karanewale sankalp..
….sabji aisi chahiye ,
aisa swad aaye to ye waasana purti ke sankalp maar denge…
.jivha ke ,
naak ke aankh ki waasana purti ke liye jo bhi karenge
dhire dhire niche gir jayenge….
sansar ka ashray liya ,
lekin wo mahasankalp ke anukul hai to beda paar ho jayega ….
murti kitane ki hai , ye mahatv purn nahi,
ashray ganapati ka hai … ,
gandagi nadi ke golmatol paththar ko mandir me rakh ke poojate
to shaligram hai ,
. mandir me jate to aise hi ashray uncha ho jayega….
ashary uncha rakho…
lekin kisi ko buri najar se dekho to maja aayega ,
jara sa ye khavu to maja aayega…
to naak ke majaa, jibh ki majaa, aankh ki majaa
to aisi heen majaa ki aadat pad gayi to
marane ke baad suwar /kutta bananaa padega…. ]
khargosh bananaa padega …
jis indriyo ka bhog lene ki aadat ho,
usi pashu ki yoni me girenge..
mansahaar karane ke lolup hai .
machchi khan eke lolup hai to magarmachh banenge …
magarmachh machhaliya khate aur pade rahete….
jibh , naak, aankh, tvacha aur wani ki majaa lene ki aadat
se apani raksha kare…
vyavahar kare…
ekin dhyan rahe ki aap ka ashray moksh hai,
uddeshy ishwar prapti hai ,
mukti hai to us ke anukul vyavvahar kare…
narayan hari narayan hari…
uddesh bana lo bhgavat prapti karani hai …
uddeshy bana lo sukh dukh me sam rahena hai..
uddeshy banaa lo anaasakti ka…
ddeshy bana lo ki kisi ke liye aap ke hruday me irsha dwesh naa ho…
- hanumanji ke hruday me kisi ke prati dwesh nahi
- ram ji ke hruday me kisi ke prati dwesh nahi
- vivekanand ke hruday me kisi ke prati dwesh nahi
- lilashah bhagavan ke hruday me kisi ke liye dwesh nahi..
- .. humhare hruday me kisi ke liye dwesh nahi…
….yudhishtir ke liye duryodhan ke hruday me dwesh tha…
to patan ke marg le jata hai..
sahaj swabhav ho…..
hari om hari om om om om hari om om om om om om
bapuji ke satsang parvachan se...